jin ki KHatir sab se begane hue
jin kī ḳhātir sab se begāne hue
haa.e vo lamhe bhī afsāne hue
phir kisī ke ho na paa.e umr bhar
aap ke ho kar jo begāne hue
kis se kahiye apne qātil haiñ vahī
the masīhā jin ko gardāne hue
dekhte the ham nigāh-e-rāhbar
varna the rahzan to pahchāne hue
ab qafas kī zindagī se kyā gurez
jab yahīñ taqdīr ke daane hue
so rahā hai nau-e-ādam kā zamīr
ik ridā-e-be-hisī taane hue
ho ga.e 'afzal' vatan meñ ajnabī
har galī ke jaane pahchāne hue
jin ki KHatir sab se begane hue
hae wo lamhe bhi afsane hue
phir kisi ke ho na pae umr bhar
aap ke ho kar jo begane hue
kis se kahiye apne qatil hain wahi
the masiha jin ko gardane hue
dekhte the hum nigah-e-rahbar
warna the rahzan to pahchane hue
ab qafas ki zindagi se kya gurez
jab yahin taqdir ke dane hue
so raha hai nau-e-adam ka zamir
ek rida-e-be-hisi tane hue
ho gae 'afzal' watan mein ajnabi
har gali ke jaane pahchane hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.