aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jin ki yaaden hain abhi dil mein nishani ki tarah

Wali Aasi

jin ki yaaden hain abhi dil mein nishani ki tarah

Wali Aasi

MORE BYWali Aasi

    jin yādeñ haiñ abhī dil meñ nishānī tarah

    vo hameñ bhuul ga.e ek kahānī tarah

    dosto DhūñD ke ham koī pyāsā laao

    ham to aañsū bhī jo piite haiñ to paanī tarah

    ġham ko siine meñ chhupā.e hue rakhnā yaaro

    ġham mahakte haiñ bahut raat raanī tarah

    tum hamāre the tumheñ yaad nahīñ hai shāyad

    din guzarte haiñ baraste hue paanī tarah

    aaj jo log tire ġham pe hañse haiñ 'vālī'

    kal tujhe yaad kareñge vahī 'fānī' tarah

    jin ki yaaden hain abhi dil mein nishani ki tarah

    wo hamein bhul gae ek kahani ki tarah

    dosto DhunD ke hum sa koi pyasa lao

    hum to aansu bhi jo pite hain to pani ki tarah

    gham ko sine mein chhupae hue rakhna yaro

    gham mahakte hain bahut raat ki rani ki tarah

    tum hamare the tumhein yaad nahin hai shayad

    din guzarte hain baraste hue pani ki tarah

    aaj jo log tere gham pe hanse hain 'wali'

    kal tujhe yaad karenge wahi 'fani' ki tarah

    Source:

     Anoop Jalota ki Ghazalen (Pg. 50)

    • Author: Anoop Jalota
      • Publisher: Daimond Pocket Books, Daryaganj
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now