jinko hum mehrban samajhte hain
jin ko ham mehrbāñ samajhte haiñ
dil kī hālat kahāñ samajhte haiñ
ham to gulshan-parast haiñ lekin
tujh ko ham bāġhbāñ samajhte haiñ
itnā hassās dil hai siine meñ
ḳhāmushī kī zabāñ samajhte haiñ
ham ne un kā bhī vaqt dekhā hai
ḳhud ko jo āsmāñ samajhte haiñ
jin ko apnā patā nahīñ ma.alūm
sab unheñ ġhaib-dāñ samajhte haiñ
ġham bahātā hai ashk āñkhoñ se
log bas dāstāñ samajhte haiñ
jo ki haiñ mār-e-āstīñ 'āzim'
ham unheñ rāzdāñ samajhte haiñ
jin ko hum mehrban samajhte hain
dil ki haalat kahan samajhte hain
hum to gulshan-parast hain lekin
tujh ko hum baghban samajhte hain
itna hassas dil hai sine mein
KHamushi ki zaban samajhte hain
hum ne un ka bhi waqt dekha hai
KHud ko jo aasman samajhte hain
jin ko apna pata nahin malum
sab unhen ghaib-dan samajhte hain
gham bahata hai ashk aankhon se
log bas dastan samajhte hain
jo ki hain mar-e-astin 'azim'
hum unhen raazdan samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.