jinko ilm-o-shuur hota hai
jin ko ilm-o-shu.ūr hotā hai
un se har aib duur hotā hai
us kī bharpā.ī ho nahīñ paatī
ishq meñ jo qusūr hotā hai
naam letā hai jab raqīb mirā
un ke chehre pe nuur hotā hai
un se mansūb naam hai merā
mujh ko ḳhud pe ġhurūr hotā hai
sher kī mere hai haqīqat ye
zikr un kā zarūr hotā hai
jin ko ilm-o-shuur hota hai
un se har aib dur hota hai
us ki bharpai ho nahin pati
ishq mein jo qusur hota hai
nam leta hai jab raqib mera
un ke chehre pe nur hota hai
un se mansub nam hai mera
mujh ko KHud pe ghurur hota hai
sher ki mere hai haqiqat ye
zikr un ka zarur hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.