jinko mai-e-‘irfan-e-wafa ras na aai
jin ko mai-e-‘irfān-e-vafā raas na aa.ī
un ko kabhī jiine kī adā raas na aa.ī
ik vo ki mayassar hai jinheñ zulm kī tāqat
ik ham ki hameñ koī du'ā raas na aa.ī
pāband-e-vafā merā muqaddar hai azal se
mujh ko magar apnī hī vafā raas na aa.ī
āsūda-e-duniyā mujhe sab kahte haiñ lekin
duniyā mujhe ab tak ba-ḳhudā raas na aa.ī
jis bazm se ik rabt hai ab tak mire dil ko
us bazm kī is dil ko fazā raas na aa.ī
us dil kī jahāñ meñ koī qīmat nahīñ jis ko
sāz-e-ġham-e-hastī kī sadā raas na aa.ī
jo shahr ki 'bāsit' kī vafāoñ kā chaman thā
us shahr kī 'bāsit' ko havā raas na aa.ī
jin ko mai-e-‘irfan-e-wafa ras na aai
un ko kabhi jine ki ada ras na aai
ek wo ki mayassar hai jinhen zulm ki taqat
ek hum ki hamein koi du'a ras na aai
paband-e-wafa mera muqaddar hai azal se
mujh ko magar apni hi wafa ras na aai
aasuda-e-duniya mujhe sab kahte hain lekin
duniya mujhe ab tak ba-KHuda ras na aai
jis bazm se ek rabt hai ab tak mere dil ko
us bazm ki is dil ko faza ras na aai
us dil ki jahan mein koi qimat nahin jis ko
saz-e-gham-e-hasti ki sada ras na aai
jo shahr ki 'basit' ki wafaon ka chaman tha
us shahr ki 'basit' ko hawa ras na aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.