jinko tauqir-e-rah-o-rasm-e-wafa yaad nahin
jin ko tauqīr-e-rah-o-rasm-e-vafā yaad nahīñ
kyā gila un se kareñ jin ko ḳhudā yaad nahīñ
jaane aa.e bhī the ḳhushbū ke sandese mujh ko
jaane guzrī thī dabe paañv sabā yaad nahīñ
aap ne saath nibhāne kā kiyā thā va.ada
is pe kahte haiñ vo ham se ba-ḳhudā yaad nahīñ
na rahā sham-e-farozāñ meñ bhī vo sho.ala-e-ishq
aur parvānoñ ko marne kī adā yaad nahīñ
ek ummīd-e-masīhā.ī bhī āḳhir kab tak
phir na kahnā hameñ ādāb-e-vafā yaad nahīñ
sho.ala-e-gul se fanā ho ga.ī shabnam 'anjum'
merī hastī huī kyuuñ ḳhaak zarā yaad nahīñ
jin ko tauqir-e-rah-o-rasm-e-wafa yaad nahin
kya gila un se karen jin ko KHuda yaad nahin
jaane aae bhi the KHushbu ke sandese mujh ko
jaane guzri thi dabe panw saba yaad nahin
aap ne sath nibhane ka kiya tha wada
is pe kahte hain wo hum se ba-KHuda yaad nahin
na raha sham-e-farozan mein bhi wo shoala-e-ishq
aur parwanon ko marne ki ada yaad nahin
ek ummid-e-masihai bhi aaKHir kab tak
phir na kahna hamein aadab-e-wafa yaad nahin
shoala-e-gul se fana ho gai shabnam 'anjum'
meri hasti hui kyun KHak zara yaad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.