jin lashon par jine ka ilzam bhi tha
jin lāshoñ par jiine kā ilzām bhī thā
un kī saf meñ shāmil merā naam bhī thā
tujh se mil kar jab bhī vāpas lauTā huuñ
yaad aayā ki tujh se koī kaam bhī thā
phir vo merī ḳhaak bichhā kar leT gayā
shāyad merā qātil be-ārām bhī thā
ham to likh kar nāhaq hī badnām hue
jin bātoñ kā vaise charchā aam bhī thā
qaht kī aafat saarā gaañv chaaT ga.ī
is gaañv meñ ġhalle kā godām bhī thā
bastī kyā thī sirf sarā-e-ibrat thī
shahr kā shahr vo sharm kā ek maqām bhī thā
log mujhe dīvāna-vār ragaḌte the
mere andar shāyad ek ġhulām bhī thā
raste meñ maujūd ḳhalījeñ nafrat kī
mere paas mohabbat kā paiġhām bhī thā
jin lashon par jine ka ilzam bhi tha
un ki saf mein shamil mera nam bhi tha
tujh se mil kar jab bhi wapas lauTa hun
yaad aaya ki tujh se koi kaam bhi tha
phir wo meri KHak bichha kar leT gaya
shayad mera qatil be-aram bhi tha
hum to likh kar nahaq hi badnam hue
jin baaton ka waise charcha aam bhi tha
qaht ki aafat sara ganw chaT gai
is ganw mein ghalle ka godam bhi tha
basti kya thi sirf sara-e-ibrat thi
shahr ka shahr wo sharm ka ek maqam bhi tha
log mujhe diwana-war ragaDte the
mere andar shayad ek ghulam bhi tha
raste mein maujud KHalijen nafrat ki
mere pas mohabbat ka paigham bhi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.