jin logon se meri yari hoti hai
jin logoñ se merī yaarī hotī hai
un meñ koī baat to pyārī hotī
duniyā meñ ik shaḳhs hī pyārā lagtā hai
ham aisoñ meñ ye bīmārī hotī hai
jab bhī apne yāroñ se miltā huuñ maiñ
jaane kyoñ bas baat tumhārī hotī hai
sab ko dil kā raaz batānā Thiik nahīñ
duniyā-dārī duniyā-dārī hotī hai
jhuuT bahut āsān hai lekin ai 'rāhī'
sach kahne meñ kuchh dushvārī hotī hai
jin logon se meri yari hoti hai
un mein koi baat to pyari hoti
duniya mein ek shaKHs hi pyara lagta hai
hum aison mein ye bimari hoti hai
jab bhi apne yaron se milta hun main
jaane kyon bas baat tumhaari hoti hai
sab ko dil ka raaz batana Thik nahin
duniya-dari duniya-dari hoti hai
jhuT bahut aasan hai lekin ai 'rahi'
sach kahne mein kuchh dushwari hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.