jin se Darte the marasim un hadon tak aa gae
jin se Darte the marāsim un hadoñ tak aa ga.e
aap se phir rafta rafta ḳhud se ham uktā ga.e
ret par kuchh duur tak dekhe the ham ne saaf saaf
phir ġhubār uThā koī vo naqsh bhī dhuñdhlā ga.e
ḳhud-kushī sūraj ne kar lī ye batāne ke liye
kaale rañgoñ ke parinde āsmāñ par chhā ga.e
chand jugnū haiñ yahāñ par aur musalsal tīrgī
sāhabo ham sham.a le kar kis khañDar meñ aa ga.e
vo valī hai aur na bāda-ḳhvār hai dānishvaroñ
aap bhī ham-zād se merā hī dhokā khā ga.e
jin se Darte the marasim un hadon tak aa gae
aap se phir rafta rafta KHud se hum ukta gae
ret par kuchh dur tak dekhe the hum ne saf saf
phir ghubar uTha koi wo naqsh bhi dhundhla gae
KHud-kushi suraj ne kar li ye batane ke liye
kale rangon ke parinde aasman par chha gae
chand jugnu hain yahan par aur musalsal tirgi
sahabo hum shama le kar kis khanDar mein aa gae
wo wali hai aur na baada-KHwar hai danishwaron
aap bhi ham-zad se mera hi dhoka kha gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.