jin se ġham intihā ke milte haiñ
un se ham muskurā ke milte haiñ
vo jo ḳhud chal ke aa nahīñ paate
un se ham log jā ke milte haiñ
apnā-pan uTh gayā hai duniyā se
log dāman bachā ke milte haiñ
rāh-e-raushan ke jo musāfir haiñ
sab se vo sar uThā ke milte haiñ
ahl-e-dānish kī āstīn meñ bhī
dekhiye but anā ke milte haiñ
un se lazzat kashīd kartī huuñ
dukh jo ġhazleñ sunā ke milte haiñ
jin se gham intiha ke milte hain
un se hum muskura ke milte hain
wo jo KHud chal ke aa nahin pate
un se hum log ja ke milte hain
apna-pan uTh gaya hai duniya se
log daman bacha ke milte hain
rah-e-raushan ke jo musafir hain
sab se wo sar uTha ke milte hain
ahl-e-danish ki aastin mein bhi
dekhiye but ana ke milte hain
un se lazzat kashid karti hun
dukh jo ghazlen suna ke milte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.