jin se rabt-e-KHas ho kyon mujhko begana kahen
jin se rabt-e-ḳhās ho kyoñ mujh ko begāna kaheñ
apnā dīvāna banāyā hai to dīvāna kaheñ
ban kar armān-e-mohabbat jo diloñ par chhā sake
kahne vaale bhī kaheñ to aisā afsāna kaheñ
be-ḳhabar hai apne andāz-e-dil-ārā.ī se husn
kyoñ na us ko ishq se bhī baḌh ke dīvāna kaheñ
dil kī betābi kā raaz aur us kī barbādī kā haal
sun sako ham se to afsāna-dar-afsāna kaheñ
jaan se baḌh kar haiñ pyāre dil se baḌh kar haiñ aziiz
mahfil-e-ahbāb meñ ham kis ko begāna kaheñ
dars-e-ulfat hai zamāne ke liye merā junūñ
shauq se ahl-e-basīrat mujh ko dīvāna kaheñ
iltijā-e-shauq ho lab par na arz-e-mudda.ā
kaif-āvar ho jo ham nazroñ se afsāna kaheñ
jhuk gayā sar arz-e-matlab par barā-e-iḳhtisār
ham ne chāhā thā ki afsāna-dar-afsāna kaheñ
kaif kī dariyā bahā detī hai saaqī kī nazar
kyoñ na ham ai mai-parastoñ is ko mai-ḳhāna kaheñ
dil-navāzī dilbarī kī us se kyā ummīd ho
jo hamārī sarguzisht-e-ġham ko afsāna kaheñ
ne.amat-e-ġham se jo dil mahrūm ho vo dil nahīñ
jaam ḳhālī ho to kyoñ kar us ko paimāna kaheñ
kuchh lihāz-e-jazb-e-ulfat kuchh ḳhayāl-e-zabt-e-shauq
kis tarah ham un se apne ġham kā afsāna kaheñ
ye bhī us kā naqsh hai to vo bhī us kā aks hai
farq hī kyā hai haram samjheñ ki but-ḳhāna kaheñ
ek armāñ ho to us kī be-kasī ko roiye
umr bhar ke hādsoñ kā kyūñ-kar afsāna kaheñ
jo bhī haiñ sub.h-e-vatan hī ke parastāroñ meñ haiñ
kin se ham ai shām-e-ġhurbat terā afsāna kaheñ
un se kahiye bhī to kahiye hāl-e-dil kyā ai 'kañval'
jo hamārī har haqīqat ko ik afsāna kaheñ
jin se rabt-e-KHas ho kyon mujh ko begana kahen
apna diwana banaya hai to diwana kahen
ban kar arman-e-mohabbat jo dilon par chha sake
kahne wale bhi kahen to aisa afsana kahen
be-KHabar hai apne andaz-e-dil-arai se husn
kyon na us ko ishq se bhi baDh ke diwana kahen
dil ki betabi ka raaz aur us ki barbaadi ka haal
sun sako hum se to afsana-dar-afsana kahen
jaan se baDh kar hain pyare dil se baDh kar hain aziz
mahfil-e-ahbab mein hum kis ko begana kahen
dars-e-ulfat hai zamane ke liye mera junun
shauq se ahl-e-basirat mujh ko diwana kahen
iltija-e-shauq ho lab par na arz-e-muddaa
kaif-awar ho jo hum nazron se afsana kahen
jhuk gaya sar arz-e-matlab par bara-e-iKHtisar
hum ne chaha tha ki afsana-dar-afsana kahen
kaif ki dariya baha deti hai saqi ki nazar
kyon na hum ai mai-paraston is ko mai-KHana kahen
dil-nawazi dilbari ki us se kya ummid ho
jo hamari sarguzisht-e-gham ko afsana kahen
neamat-e-gham se jo dil mahrum ho wo dil nahin
jam KHali ho to kyon kar us ko paimana kahen
kuchh lihaz-e-jazb-e-ulfat kuchh KHayal-e-zabt-e-shauq
kis tarah hum un se apne gham ka afsana kahen
ye bhi us ka naqsh hai to wo bhi us ka aks hai
farq hi kya hai haram samjhen ki but-KHana kahen
ek arman ho to us ki be-kasi ko roiye
umr bhar ke hadson ka kyun-kar afsana kahen
jo bhi hain subh-e-watan hi ke parastaron mein hain
kin se hum ai sham-e-ghurbat tera afsana kahen
un se kahiye bhi to kahiye haal-e-dil kya ai 'kanwal'
jo hamari har haqiqat ko ek afsana kahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.