jin se shikwa tha wo bahre gunge hain
jin se shikva thā vo bahre gūñge haiñ
ham ko ḳhvāb dikhāne vaale andhe haiñ
vo ḳhāmosh huā to ham par bhed khulā
ḳhāmoshī ke kitne saare lahje haiñ
ek tarah se shikva hai ye paanī se
sahrā meñ ik shaḳhs ne kankar pheñke haiñ
ḳhālī-pan ke karb se shāyad vāqif thā
jis ne mujh ko ḳhālī message bheje haiñ
apne baare meñ bhī thoḌā ilm to ho
ham muddat se apne pīchhe pīchhe haiñ
ham ne apnī kam-fahmī par dastak dī
garche ham ko ilm thā aage taale haiñ
tanhā.ī se mahfil sīñchī jaatī hai
ik bande ke kaafī saare saa.e haiñ
jis manzar meñ 'abdul' āñkheñ ghol chukā
us manzar ko dekhne vaale andhe haiñ
jin se shikwa tha wo bahre gunge hain
hum ko KHwab dikhane wale andhe hain
wo KHamosh hua to hum par bhed khula
KHamoshi ke kitne sare lahje hain
ek tarah se shikwa hai ye pani se
sahra mein ek shaKHs ne kankar phenke hain
KHali-pan ke karb se shayad waqif tha
jis ne mujh ko KHali message bheje hain
apne bare mein bhi thoDa ilm to ho
hum muddat se apne pichhe pichhe hain
hum ne apni kam-fahmi par dastak di
garche hum ko ilm tha aage tale hain
tanhai se mahfil sinchi jati hai
ek bande ke kafi sare sae hain
jis manzar mein 'abdul' aankhen ghol chuka
us manzar ko dekhne wale andhe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.