jin se ummid-e-karam thi wo sitamgar nikle
jin se ummīd-e-karam thī vo sitamgar nikle
ham jinheñ phuul samajhte the vo patthar nikle
ġham ke parde meñ nihāñ ḳhushiyoñ ke manzar nikle
is añdhere meñ ujāloñ ke samundar nikle
chal rahī hai yahāñ har samt balā kī āñdhī
ḳhair is meñ hai koī ghar se na bāhar nikle
merī achchhā.ī chhupā lī mire ham-dardoñ ne
merī rusvā.ī baḌī dhuum se le kar nikle
kitne armān se dāman pe sajāyā thā unheñ
haa.e ye phuul to kāñTe se bhī bad-tar nikle
maiñ ne jin hāthoñ ko mazbūt kiyā thā 'nayyar'
aaj un hāthoñ se mere liye ḳhanjar nikle
jin se ummid-e-karam thi wo sitamgar nikle
hum jinhen phul samajhte the wo patthar nikle
gham ke parde mein nihan KHushiyon ke manzar nikle
is andhere mein ujalon ke samundar nikle
chal rahi hai yahan har samt bala ki aandhi
KHair is mein hai koi ghar se na bahar nikle
meri achchhai chhupa li mere ham-dardon ne
meri ruswai baDi dhum se le kar nikle
kitne arman se daman pe sajaya tha unhen
hae ye phul to kanTe se bhi bad-tar nikle
main ne jin hathon ko mazbut kiya tha 'nayyar'
aaj un hathon se mere liye KHanjar nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.