jinhen hum bhulna chahen wo aksar yaad aate hain
jinheñ ham bhūlnā chāheñ vo aksar yaad aate haiñ
burā ho is mohabbat kā vo kyūñkar yaad aate haiñ
bhulā.eñ kis tarah un ko kabhī pī thī un āñkhoñ se
chhalak jaate haiñ jab aañsū vo sāgar yaad aate haiñ
kisī ke surḳh lab the yā diye kī lau machaltī thī
jahāñ kī thī kabhī puujā vo mandar yaad aate haiñ
rahe ai sham.a tū raushan duā detā hai parvāna
jinheñ qismat meñ jalnā hai vo jal kar yaad aate haiñ
jinhen hum bhulna chahen wo aksar yaad aate hain
bura ho is mohabbat ka wo kyunkar yaad aate hain
bhulaen kis tarah un ko kabhi pi thi un aankhon se
chhalak jate hain jab aansu wo sagar yaad aate hain
kisi ke surKH lab the ya diye ki lau machalti thi
jahan ki thi kabhi puja wo mandar yaad aate hain
rahe ai shama tu raushan dua deta hai parwana
jinhen qismat mein jalna hai wo jal kar yaad aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.