jinhen hum zindagani mein sada dil mein basate hain
jinheñ ham zindagānī meñ sadā dil meñ basāte haiñ
na jaane kyoñ hameñ vo ḳhuun ke aañsū rulāte haiñ
ḳhudā kā vāsta hai ab to aa jā mere maskan meñ
ki terā rāsta ham apnī palkoñ se sajāte haiñ
mahāz-e-ishq meñ dushvāriyāñ to sab ko miltī haiñ
magar jo hoñ qadam sābit vahī manzil ko paate haiñ
na jaane kitne ghar sailāb ne ġharqāb kar Daale
ajab haiñ log phir bhī ghar lab-e-sāhil banāte haiñ
hayāt-o-marg jin ke naam ham ne apnī kar Daalī
sazā vo qatl hone kī sar-e-mahfil sunāte haiñ
chhupā kar ashk āñkhoñ meñ 'hirā' ab sochtī huuñ ye
nahīñ hotī haiñ jab jaa.eñ to dukh kis ko sunāte haiñ
jinhen hum zindagani mein sada dil mein basate hain
na jaane kyon hamein wo KHun ke aansu rulate hain
KHuda ka wasta hai ab to aa ja mere maskan mein
ki tera rasta hum apni palkon se sajate hain
mahaz-e-ishq mein dushwariyan to sab ko milti hain
magar jo hon qadam sabit wahi manzil ko pate hain
na jaane kitne ghar sailab ne gharqab kar Dale
ajab hain log phir bhi ghar lab-e-sahil banate hain
hayat-o-marg jin ke nam hum ne apni kar Dali
saza wo qatl hone ki sar-e-mahfil sunate hain
chhupa kar ashk aankhon mein 'hira' ab sochti hun ye
nahin hoti hain jab jaen to dukh kis ko sunate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.