Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo jinko umar bhar suhag ki duaen di gain

Ishrat Afreen

wo jinko umar bhar suhag ki duaen di gain

Ishrat Afreen

MORE BYIshrat Afreen

    vo jin ko umar bhar suhāg duā.eñ ga.iiñ

    sunā hai apnī chūḌiyāñ piis piis ga.iiñ

    bahut hai ye rivāyatoñ zahr saarī umar ko

    jo talḳhiyāñ hamāre āñchaloñ meñ bāñdh ga.iiñ

    kabhī na aisī fasl mere gaañv meñ huī ki jab

    kusum ke badle chunariyāñ gulāb se rañgī ga.iiñ

    vo jin ke pairahan ḳhushbueñ havā pe qarz thiiñ

    rutoñ vo udaas shahzādiyāñ chalī ga.iiñ

    in uñgliyoñ ko chūmnā bhī bid.ateñ shumār ho

    vo jin se ḳhaak par numū āyateñ likhī ga.iiñ

    saroñ ye lagān ab ke fasl kaun le gayā

    ye kis khetiyāñ thiiñ aur kis ko sauñp ga.iiñ

    wo jin ko umar bhar suhag ki duaen di gain

    suna hai apni chuDiyan hi pis pis pi gain

    bahut hai ye riwayaton ka zahr sari umar ko

    jo talKHiyan hamare aanchalon mein bandh di gain

    kabhi na aisi fasl mere ganw mein hui ki jab

    kusum ke badle chunariyan gulab se rangi gain

    wo jin ke pairahan ki KHushbuen hawa pe qarz thin

    ruton ki wo udas shahzadiyan chali gain

    in ungliyon ko chumna bhi bidaten shumar ho

    wo jin se KHak par numu ki aayaten likhi gain

    saron ka ye lagan ab ke fasl kaun le gaya

    ye kis ki khetiyan thin aur kis ko saunp di gain

    Source :
    • Book : Kunj piile phuulo.n kaa (Pg. 61)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now