jinhen ki umr bhar suhag ki duaen di gain
jinheñ ki umr bhar suhāg kī duā.eñ dī ga.iiñ
sunā hai apnī chūḌiyāñ hī piis kar vo pī ga.iiñ
bahut hai ye rivāyatoñ kā zahar saarī umr ko
jo talḳhiyāñ hamāre āñchaloñ meñ bāñdh dī ga.iiñ
kabhī na aisī fasl mere gaañv meñ huī ki jab
kusum ke badle chunariyāñ gulāb se rañgī ga.iiñ
vo jin ke pairahan kī ḳhushbueñ havā pe qarz thiiñ
rutoñ kī vo udaas shāhzādiyāñ chalī ga.iiñ
un uñgliyoñ ko chūmnā bhī bid.ateñ shumār hoñ
vo jin se ḳhaak par numū kī āyateñ likhī ga.iiñ
saroñ kā ye lagān ab ke fasl kaun le gayā
ye kis kī khetiyāñ thiiñ aur kis ko sauñp dī ga.iiñ
jinhen ki umr bhar suhag ki duaen di gain
suna hai apni chuDiyan hi pis kar wo pi gain
bahut hai ye riwayaton ka zahar sari umr ko
jo talKHiyan hamare aanchalon mein bandh di gain
kabhi na aisi fasl mere ganw mein hui ki jab
kusum ke badle chunariyan gulab se rangi gain
wo jin ke pairahan ki KHushbuen hawa pe qarz thin
ruton ki wo udas shahzadiyan chali gain
un ungliyon ko chumna bhi bidaten shumar hon
wo jin se KHak par numu ki aayaten likhi gain
saron ka ye lagan ab ke fasl kaun le gaya
ye kis ki khetiyan thin aur kis ko saunp di gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.