Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jinhen tha faKHr nawab-o-najib hote hain

Abid Kazmi

jinhen tha faKHr nawab-o-najib hote hain

Abid Kazmi

MORE BYAbid Kazmi

    jinheñ thā faḳhr navāb-o-najīb hote haiñ

    ab un ke ghar meñ tamāshe ajiib hote haiñ

    yazīd-e-vaqt ko jo barmalā Tok sake

    raqam vo naam zer-e-salīb hote haiñ

    vo jan ko ne baḌā dil diyā hai mere ḳhudā

    to kyuuñ ye hotā hai aksar ġharīb hote haiñ

    jo log maz.hab-o-maslak had se uupar haiñ

    hamāre dil ke vo yaksar qarīb hote haiñ

    duāoñ meñ jinheñ maañ baap yaad na rakheñ

    amīr-e-vaqt hoñ lekin ġharīb hote haiñ

    jinhen tha faKHr nawab-o-najib hote hain

    ab un ke ghar mein tamashe ajib hote hain

    yazid-e-waqt ko jo barmala hi Tok sake

    raqam wo nam hi zer-e-salib hote hain

    wo jan ko tu ne baDa dil diya hai mere KHuda

    to kyun ye hota hai aksar gharib hote hain

    jo log mazhab-o-maslak ki had se upar hain

    hamare dil ke wo yaksar qarib hote hain

    duaon mein jinhen man bap yaad hi na rakhen

    amir-e-waqt hon lekin gharib hote hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now