jins-e-maKHlut hain aur apne hi aazar mein hain
jins-e-maKHlut hain aur apne hi aazar mein hain
Arshad Abdul Hamid
MORE BYArshad Abdul Hamid
jins-e-maḳhlūt haiñ aur apne hī āzār meñ haiñ
ham ki sarkār se bāhar haiñ na sarkār meñ haiñ
aab aate hī chamak uThte haiñ sab naqsh-o-nigār
ḳhaak meñ bhī vahī jauhar haiñ jo talvār meñ haiñ
sab faroshinda-e-hairat huuñ zarūrī to nahīñ
ham se be-zār bhī is raunaq-e-bāzār meñ haiñ
halqa-e-dil se na niklo ki sar-e-khūcha-e-ḳhāk
aish jitne haiñ isī kunj-e-kam-āsār meñ haiñ
ho chukā adl dukāñ band kar ai tājir-e-haq
ye sazā kam hai ki hāzir tire darbār meñ haiñ
jins-e-maKHlut hain aur apne hi aazar mein hain
hum ki sarkar se bahar hain na sarkar mein hain
aab aate hi chamak uThte hain sab naqsh-o-nigar
KHak mein bhi wahi jauhar hain jo talwar mein hain
sab faroshinda-e-hairat hun zaruri to nahin
hum se be-zar bhi is raunaq-e-bazar mein hain
halqa-e-dil se na niklo ki sar-e-khucha-e-KHak
aish jitne hain isi kunj-e-kam-asar mein hain
ho chuka adl dukan band kar ai tajir-e-haq
ye saza kam hai ki hazir tere darbar mein hain
- Book : Ghazal Ke Rang (Pg. 39)
- Author : Akram Naqqash, Sohil Akhtar
- Publication : Aflaak Publications, Gulbarga (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.