jins-e-wafa ke waste bazar chahiye
jins-e-vafā ke vāste bāzār chāhiye
qīmat jo de sake vo ḳharīdār chāhiye
us kī galī meñ jaate to haiñ aap miir jī
vaañ sar hī chāhiye na ye dastār chāhiye
dānish-varī na jins-e-hunar aur na ilm-o-fan
ab chāhiye to sāhab-e-guftār chāhiye
patthar ke Dar se log kahīñ par to chhup sakeñ
shīshe ke ghar meñ aisī bhī dīvār chāhiye
'shārib' dūkān-e-lafz-o-ma.ānī sajā to leñ
lekin koī to is kā talabgār chāhiye
jins-e-wafa ke waste bazar chahiye
qimat jo de sake wo KHaridar chahiye
us ki gali mein jate to hain aap mir ji
wan sar hi chahiye na ye dastar chahiye
danish-wari na jins-e-hunar aur na ilm-o-fan
ab chahiye to sahab-e-guftar chahiye
patthar ke Dar se log kahin par to chhup saken
shishe ke ghar mein aisi bhi diwar chahiye
'shaarib' dukan-e-lafz-o-maani saja to len
lekin koi to is ka talabgar chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.