jis ada se usne mahfil se uThaya hai mujhe
jis adā se us ne mahfil se uThāyā hai mujhe
qatl karne ke liye shāyad bulāyā hai mujhe
mājrā kyoñ dostī kā yaad aayā hai mujhe
ai dil-e-bīmār tū ne kyoñ jagāyā hai mujhe
āgahī to hai maraz dil kā bas itnī 'arz hai
dil kī is taklīf ne behad satāyā hai mujhe
niiñd aatī hī nahīñ thī āgahī ke dard se
maut ne āġhosh meñ le kar sulāyā hai mujhe
zindagī kyā hai jahāñ meñ hijr kī ik raat hai
kal shab-e-zulmat ne 'jā'far' ye batāyā hai mujhe
jis ada se us ne mahfil se uThaya hai mujhe
qatl karne ke liye shayad bulaya hai mujhe
majra kyon dosti ka yaad aaya hai mujhe
ai dil-e-bimar tu ne kyon jagaya hai mujhe
aagahi to hai maraz dil ka bas itni 'arz hai
dil ki is taklif ne behad sataya hai mujhe
nind aati hi nahin thi aagahi ke dard se
maut ne aaghosh mein le kar sulaya hai mujhe
zindagi kya hai jahan mein hijr ki ek raat hai
kal shab-e-zulmat ne 'ja'far' ye bataya hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.