jis anjuman mein dekho begane rah gae hain
jis anjuman meñ dekho begāne rah ga.e haiñ
gintī ke log jaane pahchāne rah ga.e haiñ
kal jin haqīqatoñ se māhaul mo'atabar thā
aaj un haqīqatoñ ke afsāne rah ga.e haiñ
ab ġhārat-e-chaman meñ kyā rah gayā hai baaqī
kuchh pairahan-darīda dīvāne rah ga.e haiñ
tārīḳh-e-ahd-e-rafta bil-iḳhtisār ye hai
gulshan jahāñ jahāñ the vīrāne rah ga.e haiñ
'iqbāl' DhūñDhte ho tum jin ko mahfiloñ meñ
un kī jagah ab un ke afsāne rah ga.e haiñ
jis anjuman mein dekho begane rah gae hain
ginti ke log jaane pahchane rah gae hain
kal jin haqiqaton se mahaul mo'atabar tha
aaj un haqiqaton ke afsane rah gae hain
ab ghaarat-e-chaman mein kya rah gaya hai baqi
kuchh pairahan-darida diwane rah gae hain
tariKH-e-ahd-e-rafta bil-iKHtisar ye hai
gulshan jahan jahan the virane rah gae hain
'iqbaal' DhunDhte ho tum jin ko mahfilon mein
un ki jagah ab un ke afsane rah gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.