jis dam qafas mein mausam-e-gul ki KHabar gai
jis dam qafas meñ mausam-e-gul kī ḳhabar ga.ī
ik baar qaidiyoñ pe qayāmat guzar ga.ī
dhuñdlā ga.e nuqūsh to saaya sā ban gayā
dekhā kiyā maiñ un ko jahāñ tak nazar ga.ī
behtar thā maiñ jo duur se phūloñ ko dekhtā
chhūne se pattī pattī havā meñ bikhar ga.ī
kitne hī log sāhib-e-ehsās ho ga.e
ik be-navā kī chīḳh baḌā kaam kar ga.ī
tanhā.iyoñ ke shahr meñ kaun aa.egā 'shakeb'
so jaao ab to raat bhī aadhī guzar ga.ī
jis dam qafas mein mausam-e-gul ki KHabar gai
ek bar qaidiyon pe qayamat guzar gai
dhundla gae nuqush to saya sa ban gaya
dekha kiya main un ko jahan tak nazar gai
behtar tha main jo dur se phulon ko dekhta
chhune se patti patti hawa mein bikhar gai
kitne hi log sahib-e-ehsas ho gae
ek be-nawa ki chiKH baDa kaam kar gai
tanhaiyon ke shahr mein kaun aaega 'shakeb'
so jao ab to raat bhi aadhi guzar gai
- Book : Kulliyat Shakeb Jamali (Pg. 313)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.