jis din se mera KHwab suhana badal gaya
jis din se merā ḳhvāb suhānā badal gayā
us din se zindagī kā fasāna badal gayā
sunñe lagā huuñ jab se nasīhat baḌoñ kī maiñ
jaarī thā jo laboñ pe tarāna badal gayā
pahchān kā havāla bhī baaqī nahīñ rahā
chehre ke saath ā.ina-ḳhāna badal gayā
uThtī nahīñ hai aañkh bhī ab āsmāñ kī samt
jab se galī kā chāñd purānā badal gayā
tahzīb jin ke ghar kī 'alāmat thī kal talak
afsos aaj un kā gharānā badal gayā
'azmat kā taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajā
aisī havā chalī ki zamāna badal gayā
itnī sharāfatoñ meñ kamī aa ga.ī hai aaj
pahle thā jo libās purānā badal gayā
ahl-e-vafā ne jis kī thī tārīḳh kī raqam
'fārūq' 'ishq kā vo fasāna badal gayā
jis din se mera KHwab suhana badal gaya
us din se zindagi ka fasana badal gaya
sunne laga hun jab se nasihat baDon ki main
jari tha jo labon pe tarana badal gaya
pahchan ka hawala bhi baqi nahin raha
chehre ke sath aaina-KHana badal gaya
uThti nahin hai aankh bhi ab aasman ki samt
jab se gali ka chand purana badal gaya
tahzib jin ke ghar ki 'alamat thi kal talak
afsos aaj un ka gharana badal gaya
'azmat ka taj sar pe hai 'akhilesh' ke saja
aisi hawa chali ki zamana badal gaya
itni sharafaton mein kami aa gai hai aaj
pahle tha jo libas purana badal gaya
ahl-e-wafa ne jis ki thi tariKH ki raqam
'faruq' 'ishq ka wo fasana badal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.