jis din se rabta mera dilbar se kaT gaya
jis din se rābta mirā dilbar se kaT gayā
rishta nadī kā jaise samundar se kaT gayā
ham log aa ke bas ga.e haiñ jab se shahr meñ
aḳhlāq gaañv vaalā vo ghar ghar se kaT gayā
har koī aaj ġharq hai apnī hī zaat meñ
yuuñ rafta rafta aadmī bāhar se kaT gayā
mumkin hai roz-e-hashr shahīdoñ meñ ho shumār
apnā galā to pyaar ke ḳhanjar se kaT gayā
nādim haiñ 'nazr' ham to taraqqī meñ shahr kī
buḌhiyā kā jhoñpaḌā kahīñ manzar se kaT gayā
jis din se rabta mera dilbar se kaT gaya
rishta nadi ka jaise samundar se kaT gaya
hum log aa ke bas gae hain jab se shahr mein
aKHlaq ganw wala wo ghar ghar se kaT gaya
har koi aaj gharq hai apni hi zat mein
yun rafta rafta aadmi bahar se kaT gaya
mumkin hai roz-e-hashr shahidon mein ho shumar
apna gala to pyar ke KHanjar se kaT gaya
nadim hain 'nazr' hum to taraqqi mein shahr ki
buDhiya ka jhonpaDa kahin manzar se kaT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.