jis din sin main yar bujhta hun
jis din siiñ maiñ yaar būjhtā huuñ
kab sabr-o-qarār būjhtā huuñ
zindāñ meñ mujhe hai sair-e-gulshan
zanjīr kuuñ haar būjhtā huuñ
gulshan meñ baġhair vasl-e-gal-rū
har phuul kuuñ ḳhaar būjhtā huuñ
tujh shauq meñ dil huā hai tambūr
har aah kuuñ taar būjhtā huuñ
az-bas ki huā huuñ sab siiñ yak-rañg
aġhyār kuuñ yaar būjhtā huuñ
mushtāq huuñ jab siiñ sarv-qad kā
shamshād kuuñ daar būjhtā huuñ
mānind-e-'sirāj' soz-o-ġham meñ
jalne kuuñ bahār būjhtā huuñ
jis din sin main yar bujhta hun
kab sabr-o-qarar bujhta hun
zindan mein mujhe hai sair-e-gulshan
zanjir kun haar bujhta hun
gulshan mein baghair wasl-e-gal-ru
har phul kun KHar bujhta hun
tujh shauq mein dil hua hai tambur
har aah kun tar bujhta hun
az-bas ki hua hun sab sin yak-rang
aghyar kun yar bujhta hun
mushtaq hun jab sin sarw-qad ka
shamshad kun dar bujhta hun
manind-e-'siraj' soz-o-gham mein
jalne kun bahaar bujhta hun
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 491)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.