jis din talak asar meri aah-o-fughan mein tha
jis din talak asar meri aah-o-fughan mein tha
Hakeem Aagha Jan Aish
MORE BYHakeem Aagha Jan Aish
jis din talak asar mirī āh-o-fuġhāñ meñ thā
batlāo kaun chain se soyā jahāñ meñ thā
rakhte the ham baġhal meñ dil-e-garm vo ki bas
paḌ jaatā jis ke naam se chhālā zabāñ meñ thā
āshiq kā kahiyo pahle hī vaañ kaam ho gayā
terā hunūz tiir parī-rū kamāñ meñ thā
ai barq jis kī laakh jahannum the jeb meñ
ek ik sharar vo nāla-e-ātish-fishāñ meñ thā
lākhoñ ke dil ko bātoñ hī bātoñ meñ le gayā
afsūñ kahūñ ki sehr kahūñ kyā bayāñ meñ thā
aayā thā kaun sair ko sach kahiyo andalīb
jo shor al-amāñ kā paḌā gulsitāñ meñ thā
kyā pās-e-ishq hai ki muue par bhī rāz-e-ishq
sar-basta vuuñ hī har qalam-e-ustuḳhvāñ meñ thā
vo garm-e-sarf-e-nāz the vaañ bazm-e-ġhair meñ
sargarm us taraf mirā dil sarf-e-jāñ meñ thā
chūme the kis ke hoñT ki jo marte dam maza
talḳhī ke badle qand kā mere dahāñ meñ thā
kuchh kyā chukā nasīm-e-sahar barg-e-gul pe kal
jhagḌā jo andalīb meñ aur bāġhbāñ meñ thā
haañ vāqa.ī hai tum to na the bazm-e-ġhair meñ
afsūñ mujhī ko paḌh ke diyā barg-e-pāñ meñ thā
bulbul ko baaġh meñ jo taḌapne diyā bhalā
juz ḳhaar us ke aur bhī kuchh āshiyāñ meñ thā
vo nā-tavāñ thā dil-e-āshiq ki jis kā aah
naala kabhī zamīn o kabhī āsmāñ meñ thā
shab ḳhvāb meñ mo.āmla us mah-jabīñ se 'aish'
vo paT gayā jo apne na vahm-o-gumāñ meñ thā
jis din talak asar meri aah-o-fughan mein tha
batlao kaun chain se soya jahan mein tha
rakhte the hum baghal mein dil-e-garm wo ki bas
paD jata jis ke nam se chhaala zaban mein tha
aashiq ka kahiyo pahle hi wan kaam ho gaya
tera hunuz tir pari-ru kaman mein tha
ai barq jis ki lakh jahannum the jeb mein
ek ek sharar wo nala-e-atish-fishan mein tha
lakhon ke dil ko baaton hi baaton mein le gaya
afsun kahun ki sehr kahun kya bayan mein tha
aaya tha kaun sair ko sach kahiyo andalib
jo shor al-aman ka paDa gulsitan mein tha
kya pas-e-ishq hai ki mue par bhi raaz-e-ishq
sar-basta wun hi har qalam-e-ustuKHwan mein tha
wo garm-e-sarf-e-naz the wan bazm-e-ghair mein
sargarm us taraf mera dil sarf-e-jaan mein tha
chume the kis ke honT ki jo marte dam maza
talKHi ke badle qand ka mere dahan mein tha
kuchh kya chuka nasim-e-sahar barg-e-gul pe kal
jhagDa jo andalib mein aur baghban mein tha
han waqai hai tum to na the bazm-e-ghair mein
afsun mujhi ko paDh ke diya barg-e-pan mein tha
bulbul ko bagh mein jo taDapne diya bhala
juz KHar us ke aur bhi kuchh aashiyan mein tha
wo na-tawan tha dil-e-ashiq ki jis ka aah
nala kabhi zamin o kabhi aasman mein tha
shab KHwab mein moamla us mah-jabin se 'aish'
wo paT gaya jo apne na wahm-o-guman mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.