jis ghaDi tere aastan se gae
jis ghaḌī tere āstāñ se ga.e
ham ne jaanā ki do jahāñ se ga.e
tere kūche meñ naqsh-e-pā kī tarah
aise baiThe ki phir na vaañ se ga.e
sham.a kī tarah rafta rafta ham
aise guzre ki jism o jaañ se ga.e
ek din maiñ ne yaar se ye kahā
ab to ham tāqat-o-tavāñ se ga.e
hañs ke bolā ki sun le ai 'āsif'
yahī kah kah ke lākhoñ jaañ se ga.e
jis ghaDi tere aastan se gae
hum ne jaana ki do jahan se gae
tere kuche mein naqsh-e-pa ki tarah
aise baiThe ki phir na wan se gae
shama ki tarah rafta rafta hum
aise guzre ki jism o jaan se gae
ek din main ne yar se ye kaha
ab to hum taqat-o-tawan se gae
hans ke bola ki sun le ai 'asif'
yahi kah kah ke lakhon jaan se gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.