jis jagah aagahi muqayyad hai
jis jagah āgahī muqayyad hai
us jagah zindagī muqayyad hai
bujh rahe haiñ gulāb se chehre
kyā yahāñ tāzgī muqayyad hai
chāñd jis kā tavāf kartā thā
ab vahāñ ḳhaak sī muqayyad hai
ek arzī liye maiñ hāzir huuñ
munsifā raushnī muqayyad hai
ḳhāk-e-karbal meñ aaj bhī logo
ik ajab tishnagī muqayyad hai
kachche ghar ke nasīb meñ 'bābar'
jā-ba-jā ḳhastagī muqayyad hai
jis jagah aagahi muqayyad hai
us jagah zindagi muqayyad hai
bujh rahe hain gulab se chehre
kya yahan tazgi muqayyad hai
chand jis ka tawaf karta tha
ab wahan KHak si muqayyad hai
ek arzi liye main hazir hun
munsifa raushni muqayyad hai
KHak-e-karbal mein aaj bhi logo
ek ajab tishnagi muqayyad hai
kachche ghar ke nasib mein 'babar'
ja-ba-ja KHastagi muqayyad hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.