jis jagah aap aate rahte hain
jis jagah aap aate rahte haiñ
vaañ se dukh saare jaate rahte haiñ
dil bhī lahore ban gayā ab to
log yaañ āte-jāte rahte haiñ
terī bātoñ ko yaad kar ke ham
aaj bhī muskurāte rahte haiñ
ye tumheñ yaad karne kā Dhab hai
naam likh kar miTāte rahte haiñ
terī tasvīr rakhte haiñ aage
sabr ko āzmāte rahte haiñ
auroñ par mehrbān kyoñ haiñ vo
mujh pe kyoñ zulm dhāte rahte haiñ
dost to dost hote haiñ 'nāqir'
dost milte milāte rahte haiñ
jis jagah aap aate rahte hain
wan se dukh sare jate rahte hain
dil bhi lahore ban gaya ab to
log yan aate-jate rahte hain
teri baaton ko yaad kar ke hum
aaj bhi muskuraate rahte hain
ye tumhein yaad karne ka Dhab hai
nam likh kar miTate rahte hain
teri taswir rakhte hain aage
sabr ko aazmate rahte hain
auron par mehrban kyon hain wo
mujh pe kyon zulm dhate rahte hain
dost to dost hote hain 'naqir'
dost milte milate rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.