jis jagah bhi mila ghana saya
jis jagah bhī milā ghanā saayā
ham ne kuchh der ko sukūñ paayā
ham naved-e-sahar meñ ġhaltāñ the
zulmat-e-shab ne aa ke chauñkāyā
ham muqaddar haiñ dhuup kā yaaro
ham pe hañstā hai kis liye saayā
ho chale the dayār-e-ġhair ke ham
terī yādoñ ne daam phailāyā
ham ghanī chhāñv se nikal bhāge
jab bhī sūraj uruuj par aayā
jis jagah bhi mila ghana saya
hum ne kuchh der ko sukun paya
hum nawed-e-sahar mein ghaltan the
zulmat-e-shab ne aa ke chaunkaya
hum muqaddar hain dhup ka yaro
hum pe hansta hai kis liye saya
ho chale the dayar-e-ghair ke hum
teri yaadon ne dam phailaya
hum ghani chhanw se nikal bhage
jab bhi suraj uruj par aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.