jis jagah rahna samundar rahna
jis jagah rahnā samundar rahnā
aur pyāsoñ ko mayassar rahnā
paañv chādar se na bāhar nikle
apnī auqāt ke andar rahnā
ghar se mahrūm na kar de tum ko
ye shab-o-roz kā bāhar rahnā
apne pairoñ pe khaḌe ho jaao
kab talak bojh kisī par rahnā
tum ko da.avā hai dilerī kā agar
nā-tavāñ log se dab kar rahnā
sab ko hotī hai nasheman kī talab
chāhtā kaun hai be-ghar rahnā
mujh pe aaseb hai nādārī kā
tum mire saa.e se bach kar rahnā
ye to kāñToñ kā muqaddar hai 'zafar'
phuul ke paas barābar rahnā
jis jagah rahna samundar rahna
aur pyason ko mayassar rahna
panw chadar se na bahar nikle
apni auqat ke andar rahna
ghar se mahrum na kar de tum ko
ye shab-o-roz ka bahar rahna
apne pairon pe khaDe ho jao
kab talak bojh kisi par rahna
tum ko dawa hai dileri ka agar
na-tawan log se dab kar rahna
sab ko hoti hai nasheman ki talab
chahta kaun hai be-ghar rahna
mujh pe aaseb hai nadari ka
tum mere sae se bach kar rahna
ye to kanTon ka muqaddar hai 'zafar'
phul ke pas barabar rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.