jis ka dard baTaogo
jis kā dard baTāogo
us se rañj uThāoge
sab ko dost banāoge
sab ko dushman pāoge
dīvāne ko mat samjhāo!
dīvāne kahlāoge
duur na jaao nazroñ se
duniyā meñ kho jāoge
mahfil mahfil chhupte ho
ḳhalvat ḳhalvat pāoge
tan-āsānī kahtī hai
mushkil meñ paḌ jāoge
'mohsin' jo samjhāte ho
ḳhud ko bhī samjhāoge
jis ka dard baTaogo
us se ranj uThaoge
sab ko dost banaoge
sab ko dushman paoge
diwane ko mat samjhao!
diwane kahlaoge
dur na jao nazron se
duniya mein kho jaoge
mahfil mahfil chhupte ho
KHalwat KHalwat paoge
tan-asani kahti hai
mushkil mein paD jaoge
'mohsin' jo samjhate ho
KHud ko bhi samjhaoge
- Book : Maajra (Pg. 85)
- Author : Mohsin Bhopali
- Publication : Aiwan-e-Adab 8C Mohammad Ali society, Krachi (1981)
- Edition : 1981
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.