jis ka dil aaina nahin hota
jis kā dil aa.ina nahīñ hotā
us pe fazl-e-ḳhudā nahīñ hotā
maut bar-haq agar nahīñ hotī
kaun bandā ḳhudā nahīñ hotā
zid jo muusā ne kī nahīñ hotī
tuur hargiz jalā nahīñ hotā
ḳhud na chāho to baat dīgar hai
varna chāho to kyā nahīñ hotā
ġham se hotī na phir shanāsā.ī
dil jo tum se lagā nahīñ hotā
log hote haiñ sab ḳhafā lekin
koī tum sā ḳhafā nahīñ hotā
toḌ dete haiñ log dil kaise
dard un ko zarā nahīñ hotā
ab to har pal mire taḳhayyul meñ
koī tere sivā nahīñ hotā
tab davā.eñ hī kaam aatī haiñ
jab davā se bhalā nahīñ hotā
'ishq ne'mat ḳhudā kī hai yaaro
'ishq karnā burā nahīñ hotā
dost ban ke daġhā jo de 'shāriq'
vo kisī kā sagā nahīñ hotā
jis ka dil aaina nahin hota
us pe fazl-e-KHuda nahin hota
maut bar-haq agar nahin hoti
kaun banda KHuda nahin hota
zid jo musa ne ki nahin hoti
tur hargiz jala nahin hota
KHud na chaho to baat digar hai
warna chaho to kya nahin hota
gham se hoti na phir shanasai
dil jo tum se laga nahin hota
log hote hain sab KHafa lekin
koi tum sa KHafa nahin hota
toD dete hain log dil kaise
dard un ko zara nahin hota
ab to har pal mere taKHayyul mein
koi tere siwa nahin hota
tab dawaen hi kaam aati hain
jab dawa se bhala nahin hota
'ishq ne'mat KHuda ki hai yaro
'ishq karna bura nahin hota
dost ban ke dagha jo de 'shaariq'
wo kisi ka saga nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.