jis ka dil aapne liya hoga
jis kā dil aap ne liyā hogā
ḳhaak meñ le milā diyā hogā
ham ko kyā gar bahār aa.ī hai
dil vo ġhuncha nahīñ ki vā hogā
gāliyāñ ġhair se sunāte ho
haañ miyāñ tum se aur kyā hogā
mil gayā hogā ḳhaak meñ juuñ ashk
terī āñkhoñ se jo girā hogā
jis ka dil aap ne liya hoga
KHak mein le mila diya hoga
hum ko kya gar bahaar aai hai
dil wo ghuncha nahin ki wa hoga
galiyan ghair se sunate ho
han miyan tum se aur kya hoga
mil gaya hoga KHak mein jun ashk
teri aankhon se jo gira hoga
- Book : Noquush (Pg. B387 E399)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.