jis ka hona mera hona banta hai
jis kā honā merā honā bantā hai
vo duniyā ke aage baunā bantā hai
ham to farz nibhāte haiñ majbūrī kā
hañsne kī buniyād khilaunā bantā hai
jis meñ apne paañv bhigo le vo ik baar
us dariyā kā paanī sonā bantā hai
ḳhāmoshī iz.hār meñ Dhal kar baat banī
hone kī buniyād na honā bantā hai
umroñ kī mazdūrī lagtī hai is par
lamhoñ meñ to vaqt kā konā bantā hai
maiñ dushman kī maut pe kaise raqs karūñ
merā to is dukh meñ ronā bantā hai
pahle us ko baaġh salāmī detā hai
baad meñ har ik phuul bichhaunā bantā hai
is parcham meñ badbū hai ġhaddārī kī
is parcham ko ḳhuun se dhonā bantā hai
auroñ kā to bār-e-garāñ hai maan liyā
apnā apnā bojh to Dhonā bantā hai
us kā jism november kā ḳhurshīd 'munīr'
us paikar kī dhuup meñ sonā bantā hai
jis ka hona mera hona banta hai
wo duniya ke aage bauna banta hai
hum to farz nibhate hain majburi ka
hansne ki buniyaad khilauna banta hai
jis mein apne panw bhigo le wo ek bar
us dariya ka pani sona banta hai
KHamoshi izhaar mein Dhal kar baat bani
hone ki buniyaad na hona banta hai
umron ki mazduri lagti hai is par
lamhon mein to waqt ka kona banta hai
main dushman ki maut pe kaise raqs karun
mera to is dukh mein rona banta hai
pahle us ko bagh salami deta hai
baad mein har ek phul bichhauna banta hai
is parcham mein badbu hai ghaddari ki
is parcham ko KHun se dhona banta hai
auron ka to bar-e-garan hai man liya
apna apna bojh to Dhona banta hai
us ka jism nowember ka KHurshid 'munir'
us paikar ki dhup mein sona banta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.