jis ka koi na ho KHuda hoga
jis kā koī na ho ḳhudā hogā
jis kā vo bhī na ho to kyā hogā
hāsil-e-marg aur kyā hogā
ik na.e ġham kā silsila hogā
aap muñh pher ke hue ruḳhsat
ye na sochā ki merā kyā hogā
jis ne dī hai tumheñ dua.a-e-ishq
koī mujh sā hī dil-jalā hogā
laakh sochūñ na kah sakūñgā kuchh
jab kabhī un kā sāmnā hogā
maiñ ne kyā kyā kahā hai qāsid se
jaane qāsid ne kyā kahā hogā
jis ka koi na ho KHuda hoga
jis ka wo bhi na ho to kya hoga
hasil-e-marg aur kya hoga
ek nae gham ka silsila hoga
aap munh pher ke hue ruKHsat
ye na socha ki mera kya hoga
jis ne di hai tumhein dua-e-ishq
koi mujh sa hi dil-jala hoga
lakh sochun na kah sakunga kuchh
jab kabhi un ka samna hoga
main ne kya kya kaha hai qasid se
jaane qasid ne kya kaha hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.