jis ka rahib shaiKH ho but-KHana aisa chahiye
jis ka rahib shaiKH ho but-KHana aisa chahiye
Sardar Genda Singh Mashriqi
MORE BYSardar Genda Singh Mashriqi
jis kā rāhib shaiḳh ho but-ḳhāna aisā chāhiye
mohtasib saaqī bane mai-ḳhāna aisā chāhiye
rakhtā hai sar-ḳhush hameñ ek chashm-e-maigūñ kā ḳhayāl
ho na jo paimāñ-shikan paimāna aisā chāhiye
ho ḳhayāl-e-dair dil meñ aur na ho pās-e-haram
āshiqoñ kā maslak-e-rindāna aisā chāhiye
ik nigāh-e-nāz par qurbāñ kare hosh-o-ḳhirad
ishq-bāzī ke liye farzāna aisā chāhiye
is ke dil meñ soz ho aur us ke dil meñ ho gudāz
sham.a aisī chāhiye parvāna aisā chāhiye
sham.a saañ ghulte raheñ ham aur na ho us ko lagan
'mashriqī' ma.ashūq be-parvāna aisā chāhiye
jis ka rahib shaiKH ho but-KHana aisa chahiye
mohtasib saqi bane mai-KHana aisa chahiye
rakhta hai sar-KHush hamein ek chashm-e-maigun ka KHayal
ho na jo paiman-shikan paimana aisa chahiye
ho KHayal-e-dair dil mein aur na ho pas-e-haram
aashiqon ka maslak-e-rindana aisa chahiye
ek nigah-e-naz par qurban kare hosh-o-KHirad
ishq-bazi ke liye farzana aisa chahiye
is ke dil mein soz ho aur us ke dil mein ho gudaz
shama aisi chahiye parwana aisa chahiye
shama san ghulte rahen hum aur na ho us ko lagan
'mashriqi' mashuq be-parwana aisa chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.