jis ke aane se hua hai dafatan pani sharab
jis ke aane se huā hai daf'atan paanī sharāb
yaar ye to lag rahī hai jānī-pahchānī sharāb
jis ne tujh ko chakh liyā ho us kā nashsha pūchh mat
jannatoñ meñ bhī na milne kī ye nūrānī sharāb
maiñ kahā shahroñ meñ qillat is qadar paanī kī hai
bol uThā kam-zarf hāsil hai ba-āsānī sharāb
kaun ho tum kis jahāñ se aa.e ho batlāo to
'aks paḌte hī nadī meñ ho gayā paanī sharāb
jis ke aane se hua hai daf'atan pani sharab
yar ye to lag rahi hai jaani-pahchani sharab
jis ne tujh ko chakh liya ho us ka nashsha puchh mat
jannaton mein bhi na milne ki ye nurani sharab
main kaha shahron mein qillat is qadar pani ki hai
bol uTha kam-zarf hasil hai ba-asani sharab
kaun ho tum kis jahan se aae ho batlao to
'aks paDte hi nadi mein ho gaya pani sharab
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 30)
- Author :Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.