jis ke buDhe bap ka naukar hun main
jis ke būḌhe baap kā naukar huuñ maiñ
us amīr-e-shahr se behtar huuñ maiñ
taash kī gaDDī meñ shāmil huuñ magar
taash kā pattā nahīñ joker huuñ maiñ
aapdā meñ tum ne DhūñDhā thā jise
yaad hai tum ko vahī avsar huuñ maiñ
kal usī kī āḳhirī manzil bhī thā
aaj jis kī raah kā patthar huuñ maiñ
varna merī aur kyā pahchān hai
jo bhī huuñ bas aap kā ho kar huuñ maiñ
jis ke buDhe bap ka naukar hun main
us amir-e-shahr se behtar hun main
tash ki gaDDi mein shamil hun magar
tash ka patta nahin joker hun main
aapda mein tum ne DhunDha tha jise
yaad hai tum ko wahi awsar hun main
kal usi ki aaKHiri manzil bhi tha
aaj jis ki rah ka patthar hun main
warna meri aur kya pahchan hai
jo bhi hun bas aap ka ho kar hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.