jis ke husn ki shohrat mujh pe bar guzri thi
jis ke husn ki shohrat mujh pe bar guzri thi
Niyaz Husain Lakhwera
MORE BYNiyaz Husain Lakhwera
jis ke husn kī shohrat mujh pe baar guzrī thī
aaj phir vahī laḌkī raah roke Thahrī thī
vahm kī nigāhoñ ne kitne hādse dekhe
ḳhatt-e-pesh-e-manzar par ek kaalī billī thī
saañp sūñgh jaatā thā jo use barattā thā
dekhne meñ vo aurat shahd kī kaTorī thī
ruuh meñ ubhartī thī tere qurb kī ḳhvāhish
maiñ ne apne hoñToñ pe terī pyaas dekhī thī
hiddatoñ kī bārish meñ sūkhtī thiiñ shiryāneñ
chhāñv kī talab mere sehn-e-dil meñ ugtī thī
jis ke husn ki shohrat mujh pe bar guzri thi
aaj phir wahi laDki rah roke Thahri thi
wahm ki nigahon ne kitne hadse dekhe
KHatt-e-pesh-e-manzar par ek kali billi thi
sanp sungh jata tha jo use baratta tha
dekhne mein wo aurat shahd ki kaTori thi
ruh mein ubharti thi tere qurb ki KHwahish
main ne apne honTon pe teri pyas dekhi thi
hiddaton ki barish mein sukhti thin shiryanen
chhanw ki talab mere sehn-e-dil mein ugti thi
- Book : Abr, Hawa aur Barish (Pg. 37)
- Author : Niyaz Hussain Lakhvira
- Publication : Mavaraa Publications (1988)
- Edition : 1988
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.