jis ke iman par but-e-kafar hanse
jis ke īmāñ par but-e-kāfar hañse
allāh allāh vo hañse kyūñkar hañse
husn-e-māh-o-māhvash sehr-āfrīñ
haa.e jādūgar pe jādūgar hañse
qulqul-e-mīnā dikhā.e jab asar
maiñ hañsūñ saaqī hañse sāġhar hañse
kyūñkar aatī hai hañsī kis ko ḳhabar
un pe maiñ hairāñ huuñ jo mujh par hañse
ik pate kī baat kahtā huuñ suno
koī hañs kar ro.e yā ro kar hañse
ik pata kī baat kahtā huuñ suno
koī hañs kar ro.e yaaro kar hañse
phabtiyāñ kahne pe maiñ aa.uuñ agar
vā.iz-e-zīshāñ sar-e-mimbar hañse
kyā ḳhabar 'manzūr' hai kis dhyān meñ
vo to vo zāhid farishtoñ par hañse
jis ke iman par but-e-kafar hanse
allah allah wo hanse kyunkar hanse
husn-e-mah-o-mahwash sehr-afrin
hae jadugar pe jadugar hanse
qulqul-e-mina dikhae jab asar
main hansun saqi hanse saghar hanse
kyunkar aati hai hansi kis ko KHabar
un pe main hairan hun jo mujh par hanse
ek pate ki baat kahta hun suno
koi hans kar roe ya ro kar hanse
ek pata ki baat kahta hun suno
koi hans kar roe yaro kar hanse
phabtiyan kahne pe main aaun agar
waiz-e-zishan sar-e-mimbar hanse
kya KHabar 'manzur' hai kis dhyan mein
wo to wo zahid farishton par hanse
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.