jis ke neze pe hai ye sar mera
jis ke neze pe hai ye sar merā
us ke āñkhoñ meñ dekh Dar merā
pyaas paanī ko lag rahī hogī
aag kā jism dekh kar merā
ham ġharīboñ kā ye asāsa hai
ek dastār aur ye sar merā
naqsh-e-pā tak nahīñ bane us ke
jab ki sahrā meñ hai ye ghar merā
jab se Thukrā diyā tire ġham ne
dil ye phirtā hai dar-ba-dar merā
nā-ḳhudā Dūbne se kyā bachtā
le ke Duubā thā mujh ko Dar merā
mai-kadā ban ga.iiñ tirī āñkheñ
ab to āñkhoñ se jaam bhar merā
jis ke neze pe hai ye sar mera
us ke aankhon mein dekh Dar mera
pyas pani ko lag rahi hogi
aag ka jism dekh kar mera
hum gharibon ka ye asasa hai
ek dastar aur ye sar mera
naqsh-e-pa tak nahin bane us ke
jab ki sahra mein hai ye ghar mera
jab se Thukra diya tere gham ne
dil ye phirta hai dar-ba-dar mera
na-KHuda Dubne se kya bachta
le ke Duba tha mujh ko Dar mera
mai-kada ban gain teri aankhen
ab to aankhon se jam bhar mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.