jis kī ba-ḳhudā us but-e-kāfir pe nazar hai
chhātī hai pahāḌ us kī to patthar kā jigar hai
ai dil dur-e-dandāñ ko zarā dekh to us ke
kyā durj meñ yāqūt kī ye silk-e-guhar hai
kyā saaf kahūñ yaar ke ruḳhsār kā ausāf
ik ġhairat-e-ḳhurshīd hai ek rashk-e-qamar hai
bīnā.ī kahāñ itnī nazar aa.e jo mujh ko
bārīk rag-e-jāñ se bhī kuchh us kī kamar hai
kartā hai dilā kis liye tū yaar ko badnām
baa.is tirī rusvā.ī kā ye dīda-e-tar hai
samjhūñ na judā.ī ko maiñ kyoñ vasl se behtar
sūrat tirī āñkhoñ ke tale aaTh pahar hai
rotā hai vo hasrat pe tirī soḳhta-jāñ kī
juuñ sham-e-sahar jo koī sargarm-e-safar hai
jis ki ba-KHuda us but-e-kafir pe nazar hai
chhati hai pahaD us ki to patthar ka jigar hai
ai dil dur-e-dandan ko zara dekh to us ke
kya durj mein yaqut ki ye silk-e-guhar hai
kya saf kahun yar ke ruKHsar ka ausaf
ek ghairat-e-KHurshid hai ek rashk-e-qamar hai
binai kahan itni nazar aae jo mujh ko
barik rag-e-jaan se bhi kuchh us ki kamar hai
karta hai dila kis liye tu yar ko badnam
bais teri ruswai ka ye dida-e-tar hai
samjhun na judai ko main kyon wasl se behtar
surat teri aankhon ke tale aaTh pahar hai
rota hai wo hasrat pe teri soKHta-jaan ki
jun sham-e-sahar jo koi sargarm-e-safar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.