jis ki buniyaad ho jawani par
jis kī buniyād ho javānī par
der lagtī hai us kahānī par
aaj phir Dūbne kā ḳhadsha hai
aaj dariyā hai phir ravānī par
jaane kyā soch kar havāoñ ne
likh diyā naam merā paanī par
aks apnā use bhī achchhā lagā
ḳhush huā maiñ bhī naqsh-e-sānī par
jī bhī thā us ke saath chalne kā
shak bhī thā us kī pāsbānī par
koī sultān ho sakā na 'kañval'
hukmrāñ dil kī rājdhānī par
jis ki buniyaad ho jawani par
der lagti hai us kahani par
aaj phir Dubne ka KHadsha hai
aaj dariya hai phir rawani par
jaane kya soch kar hawaon ne
likh diya nam mera pani par
aks apna use bhi achchha laga
KHush hua main bhi naqsh-e-sani par
ji bhi tha us ke sath chalne ka
shak bhi tha us ki pasbani par
koi sultan ho saka na 'kanwal'
hukmran dil ki rajdhani par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.