jis ki chahat mein gum-shuda hun main
jis kī chāhat meñ gum-shuda huuñ maiñ
vo samajhtī hai bevafā huuñ maiñ
dekh kar ke palaT gayā tū mujhe
tere dil kā hī rāstā huuñ maiñ
baiThte haiñ raqīb mere paas
hijr kī kārgar davā huuñ maiñ
aa.ine meñ nahīñ milegā tū
DhūñDh mujh ko tirā pata huuñ maiñ
gar mohabbat gunāh hai to phir
Thiik kahte haiñ sab burā huuñ maiñ
tū ne ik chīḳh hī sunī hai bas
sun ḳhamoshī bhī an-sunā huuñ maiñ
tū mujhe sochtā nahīñ hogā
soch kar ke ye mar gayā huuñ maiñ
jis ki chahat mein gum-shuda hun main
wo samajhti hai bewafa hun main
dekh kar ke palaT gaya tu mujhe
tere dil ka hi rasta hun main
baiThte hain raqib mere pas
hijr ki kargar dawa hun main
aaine mein nahin milega tu
DhunDh mujh ko tera pata hun main
gar mohabbat gunah hai to phir
Thik kahte hain sab bura hun main
tu ne ek chiKH hi suni hai bas
sun KHamoshi bhi an-suna hun main
tu mujhe sochta nahin hoga
soch kar ke ye mar gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.