jis ki duniya mein sabhi kuchh hai siwae kanTe
jis ki duniya mein sabhi kuchh hai siwae kanTe
Mirza Rafeeq Shakir
MORE BYMirza Rafeeq Shakir
jis kī duniyā meñ sabhī kuchh hai sivā.e kāñTe
phuul ke saath vo joḌe meñ lagā.e kāñTe
zindagī meñ mujhe har daur meñ bhaa.e kāñTe
jab bhī aa.e mire dāman meñ to aa.e kāñTe
aish-o-ishrat meñ bhī zehnoñ meñ basā.e kāñTe
yuuñ samajh lo ki jahannum se bachā.e kāñTe
mujh ko dushman se shikāyat na raqīboñ se gila
mere apnoñ ne mirī rah meñ bichhā.e kāñTe
merī ik arz pe ġhusse se dikhā.ī āñkheñ
mere mahbūb ne bhī mujh ko dikhā.e kāñTe
koī to ho ki jo dushman ko biThā.e sar par
ya.anī merī tarah palkoñ se uThā.e kāñTe
aa ga.ī jin meñ qalandar kī sifat ai 'shākir'
pheñk kar taaj jabīnoñ pe sajā.e kāñTe
jis ki duniya mein sabhi kuchh hai siwae kanTe
phul ke sath wo joDe mein lagae kanTe
zindagi mein mujhe har daur mein bhae kanTe
jab bhi aae mere daman mein to aae kanTe
aish-o-ishrat mein bhi zehnon mein basae kanTe
yun samajh lo ki jahannum se bachae kanTe
mujh ko dushman se shikayat na raqibon se gila
mere apnon ne meri rah mein bichhae kanTe
meri ek arz pe ghusse se dikhai aankhen
mere mahbub ne bhi mujh ko dikhae kanTe
koi to ho ki jo dushman ko biThae sar par
yani meri tarah palkon se uThae kanTe
aa gai jin mein qalandar ki sifat ai 'shakir'
phenk kar taj jabinon pe sajae kanTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.