jis ki girah mein mal nahin hai
jis kī girah meñ maal nahīñ hai
ġham pursān-e-hāl nahīñ hai
sabza ho yā dil tere qadam se
kaun hai jo pāmāl nahīñ hai
un ke karam kā rasta dekheñ
itnā istiqlāl nahīñ hai
aaj ġharīboñ kā duniyā meñ
koī sharīk-e-hāl nahīñ hai
us kā bhī koī rañg-e-suḳhan hai
jis kī koī Taksāl nahīñ hai
ḳhush haiñ 'rashīd' itnā duniyā meñ
kyā ḳhauf-e-āmāl nahīñ hai
jis ki girah mein mal nahin hai
gham pursan-e-haal nahin hai
sabza ho ya dil tere qadam se
kaun hai jo pamal nahin hai
un ke karam ka rasta dekhen
itna istiqlal nahin hai
aaj gharibon ka duniya mein
koi sharik-e-haal nahin hai
us ka bhi koi rang-e-suKHan hai
jis ki koi Taksal nahin hai
KHush hain 'rashid' itna duniya mein
kya KHauf-e-amal nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.