jis ki jaanib tu ek nazar dekhe
jis kī jānib tū ik nazar dekhe
ḳhvāb tere vo umr bhar dekhe
chain paayā kahīñ na is dil ne
ghuum kar ham ne sau nagar dekhe
daaġh maanā haiñ mere dāman par
apnā chehra bhī vo magar dekhe
zahr dete rahe marīzoñ ko
ham ne aise bhī chārāgar dekhe
lutf chāhe jo koī jiine kā
us kī mahfil meñ baiTh kar dekhe
vo hī din bhar rahā ḳhayāloñ meñ
ḳhvāb the jis ke raat bhar dekhe
husn bikhrā hai chār-sū un kā
chashm-e-'hātif' kidhar kidhar dekhe
jis ki jaanib tu ek nazar dekhe
KHwab tere wo umr bhar dekhe
chain paya kahin na is dil ne
ghum kar hum ne sau nagar dekhe
dagh mana hain mere daman par
apna chehra bhi wo magar dekhe
zahr dete rahe marizon ko
hum ne aise bhi chaaragar dekhe
lutf chahe jo koi jine ka
us ki mahfil mein baiTh kar dekhe
wo hi din bhar raha KHayalon mein
KHwab the jis ke raat bhar dekhe
husn bikhra hai chaar-su un ka
chashm-e-'hatif' kidhar kidhar dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.