jis ki KHatir sara zamana chhoD diya
jis kī ḳhātir saarā zamāna chhoḌ diyā
us ne merā phone uThānā chhoḌ diyā
saarī saarī raat satānā chhoḌ diyā
tum ne kyoñ ḳhvāboñ meñ aanā chhoḌ diyā
un kī ġhalat-fahmī ko kahāñ tak duur kareñ
rūThe huoñ ko ham ne manānā chhoḌ diyā
jab se haqīqat sāmne aa.ī ḳhvāboñ kī
tasvīroñ se dil bahlānā chhoḌ diyā
pūchh rahī haiñ aa kar maujeñ sāhil se
us ne kyoñ panghaT par aanā chhoḌ diyā
har din is ke pāgal-pan se tang aa kar
maiñ ne is dil ko samjhānā chhoḌ diyā
dost banā kar dhoka diyā jab se us ne
ham ne ziyāda dost banānā chhoḌ diyā
'ālam' jin se mil na sakā dil barsoñ se
ham ne un se haath milānā chhoḌ diyā
jis ki KHatir sara zamana chhoD diya
us ne mera phone uThana chhoD diya
sari sari raat satana chhoD diya
tum ne kyon KHwabon mein aana chhoD diya
un ki ghalat-fahmi ko kahan tak dur karen
ruThe huon ko hum ne manana chhoD diya
jab se haqiqat samne aai KHwabon ki
taswiron se dil bahlana chhoD diya
puchh rahi hain aa kar maujen sahil se
us ne kyon panghaT par aana chhoD diya
har din is ke pagal-pan se tang aa kar
main ne is dil ko samjhana chhoD diya
dost bana kar dhoka diya jab se us ne
hum ne ziyaada dost banana chhoD diya
'alam' jin se mil na saka dil barson se
hum ne un se hath milana chhoD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.